kabhi-kabhi mere dil me ye khyal aata hai
ki jaise uski julphon ki ghani chhaon mei
aise gum ho gaya hoo jaise grishm ki tapti dhoop mei
kisi thake musafir ko palash ke vriksh ki chhaon mil gayee ho.
kabhi-kabhi mere dil mei ye khyal aata hai ki
unki julfon ki ghani chhaon ka matlab na jane hote ham
to in panktiyon ko likhte nahi ham.
kya kare unhen to apni julfon ki ghani chhaon pe itna gumaan hai
vo un julfon ko kisi aur ke liye mahfooz rakhna chahti hai.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें